05-05-2010

Sache Satram ne kaha-

“PRABHU ko shakti ya budhi nahi pr pavtar prem chahiye.USE dil se simran wale kamzor ko bhi shakti aur budhi mil jati ha.”

04-05-2010

Sache Satram ne kaha-

“Shardha se ESHWAR bhagti/pooja,suwas suwas me NAAM simran,aur atithi satkar (mahiman niwazi) karne wala sada sukhi rehta hai.”

03-05-2010

Sache Satram ne kaha-

“Jaise suwang racha kr kapra bandh k dikhane se vaise dikhave ki bhagti se kuchh palav nahi parta.”

02-05-2010

Sache Satram ne kaha-

“Moh aur tirshna (havas/lobh) me sambhal k chalo q k in se aison ki khushamad karni parti hai jin ka munh dekhna bhi paap hai.”

01-05-2010

Sache Satram ne kaha-

“Eshwar bhagti aur satguru vishwas ko mazbooti se banae rakha hi shardha hai.”

30-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Apne man ko qabu na rakho q k man p qabu na rakhne wala insan us ghar k samaan hota hai jis ki koi deewaren nahi hoti.”

29-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Sadachaar (sahi raaste) p chalne wale utam jiwan va lambi umar k sath sharirk va mansik (jismani va dimagi) pavtartai pate hain.”

28-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Satay shudhi va shardha k bina aatam giyan va bhagti aise mit jate hain jaise bahete paani p khainchi gain lakeeren.”

27-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Ghar ya aasthaan k kisi bhi karya me sabhi ko sath le kar chalo q k matbhed k karan hi apnon ya premiyon me vikhaad aata hai.”

26-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Pura sansar ESHWAR ka parghat roop hai.aur use 1 nazar se dekhne wala hi haqiqat me budhiman hai.”

25-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Sab ko sukh do aur jor k rakho q k doosron ki zindagi tang karne aur ghar ujarne walon k liye nark k duwar khul jate hain.”

24-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me bari aayu wala woh hai jo lanbi umar pae pr haqiqat me woh hai jis k jane k baad bhi pun zindah rahen.”

23-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Bhagat jab khud ko BHAGWAN k hawale karta hai tab BHAGWAN bhi us ka rakhsha va mokhsh ka pura bhaar apne oopar le leta hai.”

22-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Satay (sach) hi sab se utam dharam (pun) aur asatay (jhoot) sab se bara adhram (paap) hai.So satay p chalo aur sahib pao.”

21-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Vidya jaisa koi netar (aankh/roshni) satay palan (sachai p amal) jaisa koi tap aur raag (jalan) aisa koi dukh nahi hai.”

20-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Aaya akela jaega akela ka maqsad hai sharir chhute hi sab se sanbandh aise khatam hote hain jase neend se jagne k baad suwpan.”

19-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Insaan jitni kathorta (shakti) doosron ko sudharne me apnata hai ager woh thori si apne oopar apnae to insan se mahan ban jae.”

18-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Dukh k vaqt apne bhi aise saath chhor jate hain jaise andhere me apni parchhai.”

17-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Haath k oopar haath rakho neeche nahi yane data bani deen nahi.”

16-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Ghar sansar me rah kar jis ka chit NAAM simran k saath PIRBHU prem me ranga rahe woh lok me sukh aur parlok me sahib pata hai.”

15-04-2010

Sache Satram ne kaha-

“Achhe kaam karne k liye paison ki kami nahi hoti.kaam karne wala achha ho to paisa apne aap aa jata hai.”

10.04.2010

Sache Satram ne kaha-

“Panv nahi dil ko saaf rakho to yeh panv jahan paren ge khush-hali failaenge.”

09.04.2010

Sache Satram ne kaha-

“Sab ka sukh chahne wala yogi aur apna chahne wala bhogi hota hai.Is liye yogi sb ka data aur bhogi indriyon ka gulam hota hai.”

08.04.2010

Sache Satram ne kaha-

“Satguru sharan lene k baad sandesh (shak) ko chhod bhav prem va preet ko mazboot bane rakhne wale hi manzal ko chhute hain.”

07.04.2010

Sache Satram ne kaha-

“Daan aadi satkaram karte samay mili parshansa p dhiyan na den pr woh USI PARMATMA ki samjhen JIS k naam pr ja rahi hai.”

09.03.2010

Sache Satram ne kaha-

“Teerath nihane se paap dhul jate hain aur NAAM simran se MAN.”

08.03.2010

Sache Satram ne kaha-

“Ahankar se bacho q k kaam se yash/izat kirodh se budhi, aur moh se insaaf pr ahankar se 3no nasht ho jate hain.”

23.02.2010

Sache Satram ne kaha-

“Prem va preet ni-suwarth (be loas) honi chahiye q k ye dilon ko torti hai varna jhuthi pree aage nifrat me badal jati hai.”

22.02.2010

Sache Satram ne kaha-

“Jo apni khamyan dekh sanwar k chale woh budhiman aur jo khamyan n dekh apne ko budhiman samjhe woh be-waqoof samjha jata hai.”

21.02.2010

Sache Satram ne kaha-

“Bachon ko dhan sanpada k sath sadgun va sanskar do q k maal milkiyat ghar ki aur achhi soch va amal insan ki shobha hote hain.”

20.02.2010

Sache Satram ne kaha-

“Bhool karna insani subhav hai pr bhool kar k use samjhana va man-na aur fir aisa amal karna bhool na ho pae insaniyat hai.”

19.02.2010

Sache Satram ne kaha-

“Khud ko samjhne ke liye dimag istmal karo aur doosron ko samjhane ke liye dil.q k dimag samajh aur dil prem ghar hain.”

18.02.2010

Sache Satram ne kaha-

“subhav achha rakho q k achhe subhav wala insan har ek se aise achhai/izat pata hai jaise shahad ki makhi har ek jhari se shahad.”

23.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Bachon ko kuch varsh vidya dilane wale mata pita un ka jiwan sanwarne wale aur na dilane wale pachhtava karne wale bane rahte hain.”

22.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“veerta (bahaduri) kisi ko kamzor karne ya neecha dikhane me nahi par kisi ki laaj (izat) bachane me hai.”

21.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“chhote chhote paapon va gunahon ko kabhi bhi chhota nahi samjhna chahiye q k ek chhota soraakh puri kashti dubo deta hai.”

20.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“apkar (galat chalat) karne wale ka jawab upkar (bhalai) se dena aur us k liye PIRBHU se khimya maangna hi sadhuata hai.”

19.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“jaise kanton se daman bacha k foolon tak pahuncha jata hai vaise ager kukram se bach k sukram apnaen to jivan sughandit ho jae.”

18.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“sakoon ya shanti, daani va vinamra (nimratai) se kabhi door nahi rahti, aur lobhi va ahankari k, kabhi qareeb nahi aati.”

17.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jivan aise jiyo jaise chandan ka pedh (tree), jo kaatne wali kulhari me bhi sugandh bhar deta hai.”

16.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Eshwar se thora na mile ki shiqayat na pr bahut pae hue ka shuqar karoq k woh shukar-guzar ka jiwan shayane shan bana deta hai.”

15.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“sampati ka sad-upyog na ho to sukhon ka saath chhoot k dekh k duwar khul jate hain.”

14.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Shakti ka maqsad auron ko vash (qaabu) me karna nahi par apne man va indriyon (nafs) ko vash me lena hai.”

13.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“bagair kisi bhed bhav k dukh va takleef me pare jeev ki sahaita karna hi manush dharam hai.”

12.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“sampati (dhan va maal) k sad-upyog (sahi istemal) se sukh va sam-virdhi (khushi va khush-hali) barhti hai.”

11.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Pirbhu prem va satguru se pae pavtar naam me baith jane se itna aanand milta hai jitna jeeti machhali ko pani me chhor dene se.”

03.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Bure ya kharab shabdon ka jawab usi andaz me nahi dena chaheye q k koel kave ki boli nahi bol sakti.”

02.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Per-istri ko mata,parae dhan ko dhool aur sab jiwon ko apne saman samajhne walon k liye suwrg k duwar sada khule rahte hain.”

01.07.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sambandh (Rishta) jorne ka maqsad sirif yeh nahi ki jo rishta jore us se joro par yeh hai k jo rishta tore us se joro.”

28.06.2009

Sache Satram ne kaha-

“bhag sheeshe k saman hota hai jo jaise chamakta hai vaise tut bhi sakta hai.So bhag k samay sanbhal k chalo aur bhaghshale raho.”

27.06.2009

Sache Satram ne kaha-

“Subhav shuru me kache dhage k saman pr bad me loh ki tarah mazbut ho jata hai.So bachon ko achhayan do woh mahan ban jaen gen.”

26.06.2009

Sache Satram ne kaha-

“Shatru ko shastra se haraya nahi, par use sad vahinwar va namrata se jeeta ja sakta hai.”

02.06.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sacho Satram Sache Satram ne kaha”JIVAN heere k saman hai to tarashne (charitar yane kirdar va ikhlaq) se sundarta badhti hai.So charitarwan jiwan ji k mahan bano.”

01.06.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sacho Satram Sache Satram ne kaha”40ven ka maqsad 40 dinon bad woh karya chhor dena nahi par woh aadat sada bani rahe hota hai,”So USI sache Satguru dar yahi ardas k SSD 40ven ka shubh aaranbh (Shuru-aat) hamen jiwan bhar PIRBHU NAAM DHIYAN Satguru sharan va rahmat se jore rakhe.”

30.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Prem va piyar ka rishta oonch neech ka faraq mita deta hai q k is k aane pe budhiman aur be-waquf 1 jaise ho jate hain.”

29.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Shatru k sath bhi aisa bartav karna chahiye k kabhi bhi is k saath mitrita hone par sharmindgi na uthani pare.”

26.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Mangte samay ESHWAR se bahut ziyadah mangna jayaz hai.per tapasiya k samay mala gin gin k feri jati hai.So kuch khayal karo.”

25.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Vidwan aayu me kitna bhi chhota ho maan pata hai aur jahil kitna bhi bara ho chhota mana jata hai.So bachon ko vidya do.”

24.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Lobh raht(in-naam va parshanasa ki lalach k siva) seva hi PRABHU dar pass parti hai.”

23.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Ahankar bhare galat raste se peechhe murne me up-yash (gila) nahi pr yash (izat) hai.”

21.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kusang us koele ki bhanti hota hai jo ager garam ho to haath jalae aur ager thanda to kala kare.So us se door raho.”

20.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jaise johri heere ko tarash k sundarta deta hai, vaise Satguru HARI NAAM se, man ko shudh kar PIRBHU parkashmay karta .”

19.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Dayalu virkhsh k saman dukh sah kr doosron ko sukh aur dusht chuhe k saman bina suvarth (be-maqsad) doosron ko dukh dete hain.”

18.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Apni bhet (compare) auron se karte rahne wala ahankar se akarta ya jalan me jalta rahta hai.So apni samajh se sambhal k chalo.”

17.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“(nasihat samjhana) aushidhi (dava) k saman karvi ya na-pasandidah hai par yaad rakho usi ka anjaam shafa.”

16.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Insan tirshna (havas va laalach) ki poorti me masroof hai aur woh use tabah va barbad karne me. so samajh k chalo.”

15.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Gila jaise doore ki izat ko hani pahunchahti hai vaise karne wale ka bhi shan maan kha jati hai.So gila chhod k gunwan ban.”

10.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“mitron ya bhaiyon ka maqsad hai dono haath, jo ek doosre ko dhote hain.”

9.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kabhi ranjash aa jane pe mitirta ko toro nahi pr joro q k motiyon ka haar tutne pr woh faenke nahi jate pr fir jore jate hain.”

8.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Bhudimaan musibat me sad rah va mahinat se use door karta hau aur be-waquf galat rah va galat cheezon k istemal se use brhta hai.”

7.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Gur bhaeyon va ESHWAR bhagton ka haq ghar walon se ziyadah hai q k woh SATGRU/PIRBHU ki yaad aur ye sansari vahwar sikhate hain.”

6.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Shudh hirday me BHAGWANT VAAS aise rahta hai jaise saaf darpan (aaeena) me apna chahira.”

5.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Karvi baat ka meetha jawab dene wala sada sukhi rahta hai.”

4.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Gila karna yane us k gunah apne sar lena hai gila sun-na yane us paap me sathi ban k utna gunahgar hona hai.dono se bacho.”

3.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sudharne ki niyat se shikayat karne wala mahan beiziti ki niyat se karne wala shaitan aur bemaqsad karne wala murikh hota hai.”

2.05.2009

Sache Satram ne kaha-

“Ahar (khane) ki lalsa budhi (akal) aur sadhna (simran) dono me badhik (qukawat) banti hai.”

30.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Satkarmi k liye mirtiyu aise hai jaise yatra se laut k apno se milan aur kukrmi k liye jaise doshi k liye niyalaye (adalat).”

29.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Doosron ki ninda aur apni saakh (tarif) sunte aur sunate samay khushi mahsus ho to samjhna chahiye k man me malinta bhari hai.”

28.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Bin Gur path bhirisht (rah bhatka) insan ahankar vas sansar sagar me aise bhatkta hai jaise manjhi bna kashti pani ki lahron me.”

27.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sabhi vairiyon se bhalai va nimarta ka bartav karo pr man vairi (kharab va galat) ban jane pe sakhti karo.aur sada sukhi raho.”

26.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Doosron k dosh chhor apne aib dekh khud sudharne walon ki kadam kadam pe kamyabian va safaltaen qadam choomti hain.”

25.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Dharam k naam pe gumrah karne walon k liye nark k duwar khul jate hain.”

24.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Samnjh boojh rakhte hue bhi jo PIRBHU ki pooja nahi karte unhe manushyon (insano) ki pooja (khushamad) karni parti hai.”

23.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Balidan ka maqsad hai apne tan,man aur dhan se doosron k dukh har (mita) k sukh dena.”

21.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Har ek insan ko apna dharam/mat sacha aur apne bache sundar lagte hain.Jis ka maqsad hai sab ka apne vicharon jaisa aadar karo.”

20.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“vidhwan (akalmand) ko nimarta se izat va yash aur murikh (bevaquf) aakarta se pasti va ruswai milti hai.”

19.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Vishwas ek aise shakti hai jis se pathar bhi pani ho jate hain.so koi bhi kaam karne se pahle dirdh vishwas dharan karo.”

18.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Manush ki parshansha (tarif) dhan se ziyadah gun se hoti hai.So dhanwan ban-ne se pahle gunwan bano.”

17.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kisi (amir ya garib) se bhet kiye bina jiwan jina hi khushiyon bhara jiwan hota hai.”

15.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Milne pr gun-gaan (tareef) aur peeth peechhe apne yash va kirti (izat) ka apna shatru aap hota hai.”

14.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Vishal Hirday (darya dili) antehkaran ki shanti (qalbi sakun) aur nishpaap budhi hi santon va faqiron ki shobha va shan hain.”

13.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Nimartawan insan neeche jhukte hue bhi oonchai ko chuta hai.”Aise sache satguru ki rahmat pae nimarta se oonchai tak pahunche Sant kanwar ram sahib k 124ven janam maha-utsav ki aap sabhi bhaeyon va bahenon ko shubh kamnaen ashirwad va badhaeyan.”

12.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Dil pavtar aur dimag bahetar ho to panw apne aap achhai ki aor chalne lagte hain.”Aisi aagya pe haqiqi jiwan Sant kanwar ram sahib k 124ven janam maha-utsav ki aap sabhi ko shubh kamnaen va badhaeyan.”

11.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Shardha se sare paap bhasam ho jate hain.”Aise satguru k shardha bhav se paripuran paap-raht aur pun-aatma Sant kanwar ram sahib k 124 ven janam maha-utsav ki aap sabhi ko badhaeyan badhaeyan.”

10.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Giyan ki sarthakta (haqiqat) vaisa ban k dikhane pr hai.”

10-04-2009

Sache Satram ne kaha-

“Tan ki aankh se jahan aur man ki aankh se bhagwan dikhta hai.is liye tan se seva aur man se simran karo.”

08-04-2009

Sache Satram ne kaha-

“Bhoot kaal (mazi) ki yad ya bhavshay (mustaqbal) k khuwabon me khoe rhne bajae vartman (haal) ko sanwarne wale sada sukhi rahte hain.”

07-04-2009

Sache Satram ne kaha-

“Shanti ki ichha va kamna se nahi par ichha va kamna ki shanti se shanti milti hain.”

06-04-2009

Sache Satram ne kaha-

“Giyani ho k ninda karne,bara ho k apman karne aur balwan ho k nirbal ko satane walon ki izat va maan nash hote hain.”

05.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Mahanta, jaati ya ahankar me nahi, per ,achhe wahenwar me hai, q k koi aur nahi, apne karam dekh sukh va neki badi k karn bante hain.”

04.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Santon se nimarta, baron se sahnsheelta va sikhsha pirapti aur pariwar se udarta (farakhdili) rakhne wale sada sukhi rahte hain.”

03.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kirodh thori der ki kam-akli pr ahankar (guru takbar) sada ki be-vaqufi hai.Is liye kirodh ko qabu aur gusa ko daba k rakho.”

02.04.2009

Sache Satram ne kaha-

“Apni hi ichhaen va vasnaen (galat khawahishen) jiwan ko aise kha jati hain jaise lohe ka zank lohe ko.”

29.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Satguru NAAM SIMRAN se vikar va vasnaey mita k hirday ko aise HARIDUAR kar deta hai jaise sunar sone ko saaf kar k kundan.”

28.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Apna kiya hua karam hi sukh va dukh ka karan hota hai,so, shubh karam karo aur sada sukhi raho.”

27.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jaise gahne ya zewar alag hain pr sona ek.Vaise qaumen va dharam alag hain pr insanyat ek.So insan ban k sab se pyar karo.”

26.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Apman (be-izati) karne ki niyat se kisi ko aamantrit (madau) karne wale, nark pate hain.so aane wale ka maan rakh k mahan bano.”

25.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Pavitra prem sirf dena sikhata hai, jab k sansarik prem lena.Is liye dene wala mahan hota hai so dani ho k DATA ki daya pao.”

24.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Murakh ya bewakuf ka jeena bhi maut k saman hota hai aur budhiwan ya akalmand ki maot bhi zindagi ya jeene barbar.”

21.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Namrata va udarta (farakdili) insan k do aise pankh hain, jis se, sansar se swarg tak pahuncha ja sakta hai.”

16.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“BHAGWAN to sada saath baste hain, zarurat hai sirf kuchh US ki taraf barne ki, yane pvitra NAAM k jaap ki.”

15.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Khushamtre ya chaplus ko, aise rakho ya dekho jaise atar, jo bahir tak to theek hai pr andar nahi aana chahiye.”

14.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“BHAGWAN dikhava nahi pr bhav dekhta hai.q k USE bhav bhari bhagti bhati hai.”

12.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sukh dena sukh mahesoos hota hai, pr sukh lena dukh.”

11.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“HOLI k rang bhara tahwar yane jab bhav shudh ho to har amal piyar muhabat va khushiyan faelata chalta hai.”

10.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“HOLI yane jo honi thi HO-LI ab apni nafraten va ranjashen bhula k shudh bhav bano.”So sb ko HOLI ki shubh kamnaen va badhaiyan .”

09.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Prashansa (tareef),sanman (izat) ya inaam k lobh se kiye gay karya ka fal usi surat me sansar me hi poora ho jata hai.”

08.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Haath khule aur zaban band, yane achhai kar ahankar ya barai na dikhane wale ESHWARI rahmat k patra (kabil) bante hain.”

05.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kirodh ek aise aandhi hai jo budhi ki jiyoti ko bujha deti hai.so shant rah k shandar jiwan jiyo.”

04.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Himat va juriyat woh nahi, k, kabhi shikast na ho, pr woh hai, k shikast k baad bhi dil-shikasta na hon.”

03.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Baron va buzargon ki sikhsha us fal (fruit) ki tarah hoti hai jis ka swad pahle to karva, pr baad me meetha rahta hai.”

02.03.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kirodh ka maqsad hai auron ki galtiyon ka badla khud se lena. q k kirodh doosre se ziyadah khud ko jalata hai.So savdhan raho.”

22.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Hirday, PRABHU, prem va NAAM simran, aur sharir, lok seva me laga rakhna hi, giyan va tiyag hai.”

21.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Dil se ki prarthna, karya sidh karti hai, par maa ka aashirwad swarg k dwar khol deta hai.So maa ki seva karo aur sada sukhi raho.”

20.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sundarta woh, jo darpan (aaine) k siva dekhne me aae, yane, chahre se ziyadah, gun va amal (ikhlaq va kirdar) oonche hone chahiyen.”

18.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Baat karte samay, narmi va dheerajta apnao, q k, andaz ka asar, shabdon se, ziyadah hota hai.”

17.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“MALIK ne zaban ek par kaan do diye hain jis ka maqsad hai suno har bat pr kaho madhur va sat vachan.”

17.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Tapasya se swarg, Daan se aishwariya(shaan va maan),Teerthsnan se punya aur NAAM va giyan se mokhsh ki prapti hoti hai.”

16.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“ESHWAR prapti me aankhon aur jeebh se shudh hirday ki ziyadah jarurat hai q k pavitra dil hi PARMATMA ka niwas asthan hai.”

15.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kamzor pe raham karne wale zaalim k zulum se bach k rahte hain. so rahamdil ban k sada sukhi raho.”

14.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Darya k saman darya dil (sakhi) aur dharti ki tarha naram va upkari insan hi Surya k saman roshan rahte hain.”

13.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sher ka shikar karta insan shikari, aur insan ka shikar karta sher darinda kahlata hai.So na shikari, na sher, par Sahi INSAAN bano.”

11.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jab kismat ki DEVI meherban ho to tum auron pe mahrban raho, us se woh khush hoti hai, varna rooth jati hai, aur mayusi aati hai.”

10.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“ESHWAR bhavse himat v mehnat se barhne walon k liye mushkil kaam aasan, jb k sust baithe k liye, aasan kaam bhi mushkil hota hai.”

09.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Dukh k vaqt achha bartav na karne wale se us k dukh k samay us ki saheta karna hi par-up-kar kahilata hai.”

08.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Achhi zabaan se jivan jawahirdar aur buri baat se vishbhara (zaherila) ban jat hai,so sanbhal k baat karo.”

07.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Poorv(mazi)se seekh, vartmaan (haal)ko, sanwar k chalne walon ka bhavshay, (mustakabil) ujwal rhta hai.”

06.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Samay va paisa badalta rahta hai, un ka sad-upyog/sahi istemal karo, q k, in ki qadar na karnd wale, apni qadar ganwa bahethte hain.”

05.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“har karam (amal) me us k bhugtne ka fal (anjaam) aise bhara hai jaise beej k dane me vrakhsh(drakht).”

04.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“shatru (dushman) ko maaf karne ka maqsad hai, fir kabhi us ki shaturta (dushmani) bhari chalat ki yaad na rahe.”

03.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sansar ki shiksha hai,’jo jaisa kare us k sath vaisa karo’ par, Satguru shiksha hai.’koi kaisa bhi kare tum bhala karo.”

02.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“doosron ko apna banane se pahle, apne man ko apna banao, q k man k vichar shudh hue to, koi dusra hoga hi nahi.sab apne hi honge.”

01.02.2009

Sache Satram ne kaha-

“Aam insan dhann,khaas dhan va maan, par, mahan log, sirf maan chahte hain, q k lobh se sobh nahi hoti.”

31.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jaisa aadam (mauav) taisa aadar (maan), so aadarshi bano aur izat pao.”

30.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Abhimani va lobhi ko kabhi shanti, aur prassanchit (khush baash) va vinamr (namratawaan) ko kabhi ashanti nahin aati.”

29.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Aadmi auron pe, par budhiman apne oopar nazar rakhte, lok k sath parlok k liye karya kar, sansar me sukh aur aage PRABHU pate hain.”

28.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Budhiman ager achhai pe amal na kare, to woh aise hai jaise rogi (beemar) k pas aushidhi (dawai) ho, par priyog (istemal) na kare.”

27.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Apni qadar karne (achhe amal rakhne) wale ki ,sabhi qadar karte hain, aur apni qadar na karne wale ki koi qadar nahin karta.”

26.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Mahutajon ya garibon se mahenga maal kharidna aur inhe sasta dena hi asal balidan hai.”

25.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sirf apne liye zindah rahne wale, jald mar (mit) jate hain, par doosron k liye marne ya zindah rahne wale hamesha zindah rahte hain.”

24.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Zaban se nahi ,par amal se kiya hua piraishchit (taoba) hi, asal piraishchit hai, yane woh galti fir na ho pae.”

23.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Badle ka bhav rakhne wala dar-asal apne he dil ko zindhah rakhta hai jo kabhi ka mit chuka hota.”

22.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Bhavishya (mustakbil) sanwarne k liye bhootkaal (mazi) ki ghatnaon se seekh, wartman (haal) sudhar k chalne wale sada sukhi rahta hai.”

21.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sant va sat-sang, insan k swabhav,gun va charitar (kirdar) ko badal k, manav se mahan bana dete hain.”

20.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Achhi dirishti se, andar me achhai, aise raheti hai, jaise phool uthane ki tokri me, sugandh.”

19.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sirf apne sukh ki tirshna (hawas) se paap aur apne saath doosron k sukh ki kamna se pun hota hai.”

18.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Beshak doosre ka swabhav pasand aae ya nahi par apne nek ya achhe swabhav ko sanbhal k rakhne wala sada sukhi rahta hai.”

17.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Dhan se ahankar barhta hai, aur NAAM se niyaz (namarta).Ahankar se nahin, per namarta se prabhu kripa aati hai.”

16.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Mahan pursh k aashirwad bhare hath sar pe parne se vikar va dur bhagay door ho jate hain.”

14.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Surke ki bottle per nahi, per shahd (honey)ki boond p makhiyan aati hain, vaise, karvi zaban k bajae, meethe vachan se sb piyar karte hain.”

13.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Aae (aamdni) se kam kharch aur paap se ziyadah punya (sawab) karne wala sada sukhi rahta hai.”

12.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kirodhi k andar, sada, jalan rahti hai aur us se giyan jal jata hai.”

11.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sansar se oonche uthne ka upaye hai, Sansar se aasha na rakh k us ko sukh dena.”

10.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Satguru sang NAAM simran, daani surya ki tarah udaar (farakhdil), aur prithvi k saman sahansheel banata hai.”

09.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Kamna rakh k bhajan ya sewa karne se us fal ki,par nishkam bhav se NAAM simran ya sewa se PARMATMA ki pirapti hoti hai.”

08.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Madira (nashe) se kukarm(galat kari),beemari,asatya (jhoot),paap va agyan paida hote hai.”

07.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sirf giyan pana nahi, par us pe amal, man ko shanti se bhar kar pavitra preet se PARMATMA tak pahunchata hai.”

06.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Namrata wala, khushlta,sukh va shanti
pate hue PARMATMA tak pahunchta hai, aur ghamand me gardan unchi kar ke chalne wala munh ke
bal girta hai.”

05.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jitna insan doosron ko kathorta(kosta) hai agar utna khud sudhare to manav se mahan (insan se azeem) ban jae.”

04.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Sandeh (shanka/shak) ka beej man me aane se mitr (dost) bhi shatru (dushman) lagne lagte hain so vichar shudh rakho.”

03.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Jaise ghar me diya jalane se jhronke bhi roshan hote hain, vaise man me MALIK aate hi sab aang BHAGWAT prem me khil uthte hain.”

02.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Giyan va gun pate ya samajhte samay dharan (soch), khud sudhar ki rakhne wale mahanta pate hain.aur lok dikhawe rahe jate hain.”

01.01.2009

Sache Satram ne kaha-

“Khud ko saja k harsh va hulas se nae saal ki shuruat samjha rahi hai k ab sadgunon se khud ko sanwar haqiqi anad ki shuruat karo.”

31.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jo Shabd (alfaz) Shudh bhav va sache man se niklen woh mahan pr jo sache hirday se na niklen un ka na niklna hi bahtar hai.”

29.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Shubh kamna (dua) aisi shaktishali hoti hai k ashubh bhawna (kharab sobh) walon ko bhi shubh chintan (behetar) bana deti hai.”

28.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Surya uday se andhkar aur Satrguru giyran updesh se agyan mit jata hai.”

27.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Insan insan se chhipa k kuchh kar sakta hai par PARMATMA se nahin aur fal US hath hai jise kuchh chipa nahi.so samanjh k karya karo.”

26.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Apni parshansa (tareeF) sunte samay hosh banae rakhne wala sada sukhi va kamyab rahta hai.”

25.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me achhai hi achhai hai.kuchh kharabi nahi.insan ki apni achhai ki kami kharabi jaise lagti hai.”

24.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Dukh aane pe apne kukarmon (galat karyon) ka fal aur sukh aane pe PIRBHU kirpa samajhne wala sada sukhi rahta hai.”

23.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Auron ko updesh dene ke bajae, un pe amal unati (taraki) ki rahen khol deta hai.”

22.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Doosron k doshon (aebon) ki tarah, apne doshon ko dekhne wala insan, manv se mahan ban jata hai.”

21.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Phoolon me kanten dekhne wale rah jate hain, aur kanton me phool dekhne wale, barhte kamyabi pate hain.Q k dukh k bad sukh hai.”

20.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Agar kisi se bhool ho jae, to tum bhool mat karo, yane kirodhit na ho, par khud sanbhal k, use sanwar do, Dono sukhi raho ge.”

19.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Apni khushiyon va sukh me sab ko sath rakhne wale ko, dukh va takleef me MALIK saath rakhta hai.”

18.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Mastaksh (dimag) ko thanda rakho aur sada suhisth (sihat mand) raho q k 70% beemaryan sharir k bajae dimag se paida hoti hain.”

17.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Sadhavta/Santpan poshak se nahin per gunon se hoti hai.Aur woh ahi Sahanshilta(bardasht ki himat) aur Daya.”

16.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Bhalai aur burai ek hi man ki do avasthain hain,
Burai mitne pe Manavta aur Bhalai mitne pe Pashuta zahir hoti hai.”

15.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Manav janam,maha purush ki sharn
aur mukti ki ichha ESHWAR ki rhmat
hain use pakad jiwan ki saflta tak pahuncho.”

13.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Jahan har ek ka satkar aur sanman ho wahan laxmi,
such aur samruddhi ka sada nivas rahta hai.”

12.12.08

Sache Satram ne kaha-

“Har bat ko tol vichar ke uttamta (behatri)
ka swikar aur kharabi ka parityag karne wala
hi Mahan Manav hota hai.”

11.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Shuddhi sirf sharir ki safai ka naam nahi
Per, pavitra NAAM se, shudh hirday me,
ESHWAR ko basana hi, asal shudhi hai.”

10.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jis ka man kisi bhi sthithi/avastha
(Halat) me sam (equal) rahta hai usi ke
sabhi karya sidh ho jate hain.”

09.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jaise mahawat haathi ko
lohe ki keel se vash karta hai,
vaise SATGURU, PRABHUNAAM se
dooshit bhavnao ko mita deta hai.”

08.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kabhi karz ko kam,Ghav ko halka,
Aag ko tanik na samjho,Yah dekhne me thode,
badh kar sab kuchh khatam kar dete hain.”

07.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Satsang man, chit va vichar ko sthir/ekagar
karta hai aur kusang vichlit (bhatkata) karta hai .”

06.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Apni bhulon ko dekhne wale mahan ban jate hain
aur auron ki bhulon ko dekhne wale bhatkte rah jate hain.”

05.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Amal ke bina jaankari rakhne wale insan sab kuch samajhte hue bhi hakikat se peeche rah jate hain.”

04.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Trishna (lalach) ko jeetne wale se, dukh aise bhag jate hain, jaise kamal ke phool se barsat ki boonde.”

03.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Thori si bhalai itna zyadah badhati hai, jitna, ek beej bone se poora faldaar pedh(tree).”

02.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kisi ke mushkil samay vaqt
us ki majboriyon se faaeda uthane ke bajae
madad karna hi manavta ki Mahanta kahilata hai.”

01.12.2008

Sache Satram ne kaha-

“Vidya (education) se jiyada koi amiri, aur
ashiksha (illiteracy) se jiyada koi garibi nahi hoti.”

30.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jo punya kamaye woh yash/rahmat ka, par
jo paap bhavna samapt kar jae, woh
ESHWAR prapti ka adhikari hota hai.”

29.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jo doosre ke bhagya, uday (khulte) dekh kar
khud aanand v hulas mahsus karta hai.
To Malik unki jholi khushiyon se bhar deta hai.”

28.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“krodh se preet,ahankar se namrata, maya se maitri(rishtedari) aur lobh se sab kuch nasht ho jata hai.”

27.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Veerta/ bahaduri woh nahin
jo kisi ko marne/izat ganwane me lage ,
par, veerta woh hai jo kisi ki izat bachane me lage.”

26.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Bhalai ki sirf chahat hi Burai ki shakti khatm kar deti hai,
aur Bhalai karna to insan ko Mahan hi bana deta hai.”

25.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“ESHWAR ko aankhon se nahi, per
shudh man aur pavitra budhi, se dekho.
fir, jahan kahin nazar jae WOH hi milega.”

24.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Achhai, neki kare, aur dare, us ke liye swarg, aur kharabhi badi kare, aur fakhar kare, us ke liye narq ke dwar khule rahte hain.”

23.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kisi k saath apni ki hue bhalai ko chhipane wala aur doosre
se paee hue bhalai ko batane wala sada khush raheta hai.”

22.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Paisa nahi pur us ka dur upyog (galat istemal)
barbad kar deta hai.”

21.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Koi bhi shubh karya karte waqt irada majboot aur rati . matra bhi shanka na ho to karya avashya sidh hoga.”

20.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Izat wala woh hai jo auron ke izat ki bhi utni izat kare
jitni apni izat ki.”

19.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Izat wala woh hai jo auron ki izat ki bhi utni izat kare jitni apni izat ki.”

18.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Sansar anetay (na rahne wala) hai jahan ek pal ka bhi bharosa nahi.jo achhai bhalai ya kalyan ka karya karna hai jaldi karo.”

17.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kisi aae zaruratmand ki zarurat jaldi poori karni chaheye q k agar woh chala gata to hum seva ya ESHWARI rahemat se rah jaen ge.”

16.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kisi kaam akal (bevaqoof) se vaad vivad (bihas mubahisa) nahi karna chaheye q k varna log dono me faraq nahi samajh paen ge.”

15.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kisi k saath apni ki hue bhalai ko chhipane wala aur doosre se paee hue bhalai ko batane wala sada khush raheta hai.”

14.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Paisa nahi par us ka dur upyog (galat istemal) barbad kar deta hai.”

13.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Achhai va neki kare aur dare us ki liye suwrg aur kharabi va badi kare aur fakhur kare us k liye narak k duwar khule rahte hain.”

12.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kamyabi woh jis se izat,maan va shaan badhe,
warna aise hai jaise be-mausam fal,
jis se bhookh to mit jati hai per sawad nahi hota.”

Sache Satram ne kaha-

“Budhiman woh hai jo kamyabi pae, per mahan woh hai jo dukh ya pareshani ke waqt budhi na ganwae per dil va dimag pe kaabu rakhe.”

11.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Insan ki barai ya fakhur is me hai k, bara hote hue bhi barai ya fakhur na kare.”

9.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jaise ek chingari jangal ko jala ke raakh kar deti hai, vaise galat zaban yash va kirti (izat va shan) ka khatma kar deti hai.”

8.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Sab se achhi va meethi cheez hai budhi ya akal, aur sab se kharab va karvi cheez hai mahutaji.”

7.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Manavta (insaniyat) sharir (jisim) ki pahechan nahi par, achaeyon va khoobyon ki pehchan ka naam hai.”

5.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jis ka andar bahir se pavitra, woh SANT,andar bahir sam, woh budhiman, per jis ka bahir andar se bahetar, woh khota va baiman hai.”

4.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Sharan (panah) me aae shatru (dushman) ko bhi shantmay (pur-aman) watawaran (mahol) tak pahunchana hi manavta (insaniyat) hai.”

3.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Bina amal, budhiwan aise, jaise andhe k hath me chirag,jis me auron k liye to parkash hai par, apne liye sirf andhkar.”

2.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Bhagvat prem me baadha (rukawat) dhan ya padarath nahi, per unhe diya gaya mahtav (ahemiyat) hota hai.”

1.11.2008

Sache Satram ne kaha-

“Dhan k hote insaan se mahaan ban-na aasan, per dhan ki lalsa (lalach) rahte mushkil hai.”

31.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Khud beemar parne par dushman ko maaf karne se khud ki sehat (tabiat) theek ho jati hai.”

29.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Deepavali k deep bata rahe hain k JEET Shakti (takat) ki nahi par sachai ki hoti hai,”SSD Dham ki aor se Shubh dewali va badhaeyan.”

26.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Aadhe waqt me jab sare sath chod jaen, jo us waqt sath nibhae, wohi Sacha shubhchintak ,(hamdard) ya mitra (dost) hota hai.”

25.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Apne dukhon ka karan koi bhi ho,
per, auron ko dukh na dene wale, jldi sukhi ho jaten hain
USI Sache Sai ke janamutsav ki Aap sab ko badhaeyan.”

24.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Seva ke liye Daya bhara dil aur Prem se puran aatma ho to har karya sidh samjho. USI Sache Sai ke 142 janm mahautsav per aap sab ko Aashirwad aur badhaiyan.”

21.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Galtiyon ko sanwar k chalne wala, kadam kadam pe kamyabi pata hai.”

19.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Badla ya intqaam lene me deri, aur, bhalai ya neki karne me jaldi karne wale sada sukhi rahte hain.”

20.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me do cheezen achhi hain, ek woh ACHHI BAAT jo dil ko bhae, aur doosri woh Dil, jo us achhi baat ko pae.”

18.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Aam batern ziyadah shabdon (aldfaz)me nahin per badi aur mahan baaten kam ya thore shabdon me kahe dena aqalmandi hai.”

17.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Su-karam (nek amal) se aayoo (umar) barhti hai, aur lok me izat, va parlok me rahmat milti hai.”

15.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Paap ka jawab punya, aur burai ka bhalai se dene walon k liye PIRBHU rahmat va swarg k duwar khule rahte hain.”

14.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Maal padarth ya paisa jane pr, jo yeh soch k sabar karte hain k, mere pas bhi kahen aur se aaya tha sada sukhi rahte hain.”

13.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Pavitra dil hi PARMATMA ka vishram (rahne ki jagah) hai is liye ESHWAR ka simran dil ser karo dimag se nahin.”

12.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Doosre se ki gai galti kharabi ya burai, aur khud se ki gai bhalai ya achhai ko bhoolne walon ki jagah swarg me hoti hai.”

11.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Pooja,dhiyan ya tasawur ka maqsad hai, US k gun,achhaeyan va pavtartai ko apne me dharan kar vaisa ban jana.”

11.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jo sab ka kalyan chahta hai uska kalyan apne aap ho jata hai, aur,sirf apna kalyan chahne wala dhundhta bhagat rahta hai.”

10/10/2008

Sache Satram ne kaha-

“Sukh aur dukh kisi aur ke nahin per apne hi karmon ka natija hainso shubh karm karoaur sada sukhi raho.”

08.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Achha kaam karne k liye agar achha dil aur dirdh vishwas (mazboot irada) ho to lakshmi va safalta apne aap aa jati hai.”

07.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Kharabi ya burai ko kharabi na samajhna, ya kahena, aur bari kharabi hai.”

06.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Raham dil insan ka sukh dukhyaron ki madad karne me hota hai, aur dukh, unki madad na karne me.”

05.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Aankh woh chirag hai jo agar roshan, to pura jivan hi saakar(safal) aur agar woh tareek to pura jivan hi bekar.”

04.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Galat ya kharab shabdon (alfaz) se parhez karo, q k, buri baat pashuon (janwaron) tak ko pasand nahi aati.”

03.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jitna achhe/bhale karya me sahyog (madad) dene se punya (savab) hota hai, utna hi galat/bure kaam me madad dene se paap.”

02.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Yudh jeetne wala be-jaan dar o deewar (mahal) jeet leta hai, per doosron ka DIL jeetne wala sari dunya k sath PRABHU prem bhi jeet leta hai.”

01.10.2008

Sache Satram ne kaha-

“Amavasya ke baad chandra darshan ka maqsad hai k, ESHWARI rahmat se mayoos na ho, dukh k peechhe Sukh hi hai.”

29.09.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jhooti Kasam mat khao, q k, aakhir woh khuwar karte hue, tabah va barbad kar deti hai.”

28.09.2008

Sache Satram ne kaha-

“Pavitra bhoomi (mandir,dham) pe, wahan k aachar-vichar , va niyamavali ka palan karne se, swarg k dwar khul jate hain.”

27.09.2008

Sache Satram ne kaha-

“Gareeb ki madad use kuchh dene me,kamzor ki zalim se chutkara dilane me, aur zalim ki use zulum se door rakhne me hoti hai.”

26.09.2008

Sache Satram ne kaha-

“Jaise hans pani ko chhor doodh pee leta hai, vaise sansar me se kharabiyon ko chhor achhaeyon ko girhan karo (apnao).”

25.09.2008

Sache Satram ne kaha-

“sukh va dukh kisi aor k diye nahi, per, apne hi karmon ka natija hain.so shubh karam karo aur sada sukhi raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Bachon ko aashirwad dete raho, q k baron ki dua MALIK dar kabool hoti hai, aur woh (bache), insan se mahan ban jate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru sharan me rahe k insan thore thore gun va NAAM simran pate aise mahan ban jata hai jaise katre katre se talab.”

Sache Satram ne kaha-

“Pyar me teekhapan bhi aur meetha, aur nifrat me meethapan bhi teekha prateek (mahsoos) hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ziyada ya galat baat se nafrat, kam ya achhi baat se pyar va mohabat aur BHAGWAT ki prapati hoti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Sharir pani se, aur dil,sachai se pavitra hota hai.Sharir ki pavitrata suvisthta/sehat, aur dil ka pavitrata PARMATMA pati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Seva va simran k bina jiwan aisa hai jaise sugandh (khushbo) k bina pushp(phool).”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise kathnai se pai vastu ki dekhbhal aur qadr karte hain,agar aise mushkil se mile manv jivan ki karen, to manv se mahan bn jaen.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise kaowa gand kha kar hi khush hota hai, vaise, galt aadmi galt baat kar hi khushi pata hai,so un ki’ dil me na rkh k sukhi rho.”

Sache Satram ne kaha-

“Siradh ka maqsad hai apne kiye daan karam ka fal mrit baron ko arpit (de) kar ESHWARI rahmat se un ka udhar (mukt) karna.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru sang sansar me maan (izat) va aage swarg, aur kusang, sansar me ninda (badnami) va aage nark deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Kusang (bure sath) ki mitrta (dosti) se, us ki shatruta (dushmani) bahetar hai,so, kusang chhor sat sang se sobaihman bano.”

Sache Satram ne kaha-

“Apna sudhar kiye bina kisi paap ka piraishchit (taoba) karna aise hai jaise soraakh band kiye bina kashti se pani nikalna.”

Sache Satram ne kaha-

“Sukh ke vaqt dukhyon ki madad karna aur dukh ke vaqt ESHWARI rahamat ko yaad rakhna hi asal veerta (bahadri) hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar ki pahechaan k liye vivek (samajh) aur SAHIB (PARMATMA) ki pahechan k liye vishwas ho to saflta sada saath raheti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Doshi (mujrim) ke dosh (jurum)maaf kar, use sahi raaste pe lane walon k liye swarg ke dwar sada khule rahte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar ki pahechaan k liye vivek (samajh) aur SAHIB (PARMATMA) ki pahechan k liye vishwas ho to safalta sada saath raheti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Doshi (mujram) ka dosh (jurum) maaf kar use sahi raaste pe lane walon k liye swarg k duwar sada khule rahte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Manush (insan) ki ustati (tareef) suwarth (apne mufad) k liye aur PARMATA ki ustati parmarth (sab ki bhalai) k liye hoti hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Shoorveer (Bahadur) woh nahin jo apna apman (insult) sahen (bardashat) na kare ,per woh hai jo sab ka sanmaan (respect) kare.”

Sache Satram ne kaha-

“Dhan punha (fir) pirapat (hasil) ho sakta hai per samay nahi, so samay ka sad-upyog (sahi istemaal) karo aur sada sukhi raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Kirodh va ahankar bhara jiwan aise raheta hai jaise doodh ya kheer me khatai.”

Sache Satram ne kaha-

“PRABHU NAAM Simran aur Satguru sang se apmani ya apmaan karne wala bhi upkari ban jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Apna Sukh auron pe nichhawar karne (barsane) walon pe ESHWARI rahemat barasti raheti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Apna Sukh auron pe nichhawar karne (barsane) wala hi sada sukhi raheta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Sukh me SAIN (ESHWAR) ka simran aur dukh me use yaad rakhne walon ke liye swarg k dwar sada khule rahte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jahan har ek ka satkar aur sanman ho wahan laxmi, sukh aur samrudhi ka sada nivas rahta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Bina GURU Jiwan ko safal banana ya ooncha uthana aise mushkil hai jaise bagair seedhi k upar chadhna.”

Sache Satram ne kaha-

“Giyanwaan dukh me bhi aise khilta hai jaise ball zamin pe faenkne se aur ooncha uchalta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ahankar, Mamta va Moh,ka tyag hi asal tyag hai, baki jis tyag se krodh maan ya lobh badhte woh tyag nahi kaha ja sakta.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me aisa koi nahi aaya jo sada raha ho baqi achha kaam va nek naam sada rahta hai,so achhe bano aur sada jio.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me aisa koi nahi aaya jo sada raha ho baqi achha kaam va nek naam sada rahta hai,so achhe bano aur sada jio.”

Sache Satram ne kaha-

“Shatru se bhi achha salook karo q k woh kabhi dost ban jae to sharamsar na hona pade.”

Sache Satram ne kaha-

“sachai sansar me sukh va shaan, aur aage swarg se, sushobhit va shobhyamaan karti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Thodi si bhalai itna zyadah bhadhti hai jitna ek beez bone se poora faldar darkht (tree).”

Sache Satram ne kaha-

“23 ghante sansari karya karte 1 ghante ka NAAM simran aise bhav sagar se paar lagata hai jaise 60 feet jahaz(ship) pani me hote sirf4 feet upar rehte paar pahuncha deta hai.so simran karo aur bhav sagar taro.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru kirpa se pirapat PIRBHU NAAM ke jaap se insan 84 chakar se chhoot
sidh,sant,naath aur jogi ban JAGDESHWAR pirapati ka patar hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Auron ki nahi pr apni jaankari(khabar) rakhne se insan manav se mahan ban jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Mukti ya mokhsh k ichhuk (chahane wale) ko Vishyon (Kharab chalat) se vish (zahar) k samaan door rahna chaheye.”

Sache Satram ne kaha-

“shaastraron se giyan,mitaron(dosto)se maan aur santon se naam va dhiyan miltahai.”

Sache Satram ne kaha-

“achhai achha samajhne se nahi pr apni galtiyan dekhne se aati hai q k galtiyan niklin to achhai aai.”

Sache Satram ne kaha-

“Shanti va santushti (itminan) hi asal sukh hai.pr woh bahir se nahi andar se honi chaheye.aur yeh milti hai.NAAM simran se.”

Sache Satram ne kaha-

“Kisi ko kuchh dene se hirday aanand (dil khushi) se jhonm uthta hai q k us vaqt DENE WALA (PARMATMA) dil me hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Achhai ya bhalai k kadar na hone pr bhi neki va bhalai karte rahne wale pe suwrg k duwar sada khule rahte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jis tarah andhere me pari rasi ko sarp samajh liya jata hai usi tarah agyan vas insaan deh (body) ko AATMAN samajh baithta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Yash va keerti (neki va namachaar) hi insaan ka asal aabhushan (Zewar) hain.”

Sache Satram ne kaha-

“kisi bhi galt/gunah ka sahi pirashchit/toba use fir kabhi na karna hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Aise karam kro k tumhare naam se ESHWAR ka NAAM ho,jaise dekh koi kahe,”wah! pirbhu ne kiya dharti pe insan bheja hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Sab se utam daan kimyan daan(maaf karna) aur sab se shakti shali (bahadur) badla na lene wala hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“NAAM Simran se chit/man shudh ho jane pe khud-b-khud Sat karm hone lagte hain aur us se dukh door aur sukh bharpoor hote hain.”

Sache Satram ne kaha-

“NAAM Simran/har ek ke gun/ achhaiyon ko dekhne aur dharan karne se insaan, aalla (mahan manav) ho jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Sant vachan me ESHWARI rahmat bhari hoti hai Jo use sar aankhon pe rakhta hai to sabhi karya sanwar jate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Sab se bade adharmi woh hain jo dharam ke naam pe bhirishtachar (corruption) karte hain aur logon ko larate/nafraten paida karte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Kisi bhi jeev ka vadh/katal apna katal aur kisi bhi jeev pe daya apne hi ooper daya hai.Kiyon ke karni ka fal khud ko hi bhogna hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Agar koi kab bhi seekhna chahe to apne hi dushkarmon se seekh sakta hai, nahin to koi laakh samjhae rawan ki tarah akar ke rahe ga.”

Sache Satram ne kaha-

“Ram ka sang pashuon ko Manav (Dev) aur Rawan ka sang Manav ko pashu(Danav) bana deta hai.So satya ko sang rakho.”

Sache Satram ne kaha-

“DEEPAWALI ke deep samjha rahe hain ke achhai aur sachai pe chalte sankat aane pe bhi anjam prajulit (roshan) hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Har Karya dharam anusar yane satya/asatya ko vichar kar ke karne se swarg ke duwar khul jate hain kiyon ki manavta Sat ke sath hoti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Lakri ko Barahi,sone ko sunar,bagiche ko mali,sunder banata hai.Per manush Satguru sharan aur Satsang se mahan/BHAGWAN banta hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise Paras aur lohe ki zara si bhi doori se sona nahin banta vaise thora bhi kapat chaturai hone se MALIK ka milan nahin hota.”

Sache Satram ne kaha-

“Guru aasthan pe har ek se premkaro.ESHWAR ko dekho kitna MAHAN hote bhi prem vash chhoton baron sab se ek sa prem karte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Bantna seekho. Apna sukh auron me banto aur auron ka dukh bant ke lo yani un ke dukh sukh me badalne ka piryas karo.”

Sache Satram ne kaha-

“Jab bhi koi shubh karya aarambh karo to aise vaise vaad vivaad ko chor ke kaam se kaam rakho to safalta sada saath rahegi.”

Sache Satram ne kaha-

“Sangeet me apar shakti hoti hai,Jis se asambhav karya bhi sambhav ho jate hain So ESHWAR bhakti me gun gunao aur gam ganwao.”

Sache Satram ne kaha-

“Kamyabi ka barah dushman fail hone ka dar hai.So ESHWAR/ SATGURU me vishwas ke saath aage barhen to kadam kadam pe kamyabi saath hogi.”

Sache Satram ne kaha-

“Kisi bhi bulave/ bhoj pe aisi jagah pe baitho jahan kisi ke aane pe tumhen uthaya na jaye per tumhe kaha jae aao oopar baitho.”

Sache Satram ne kaha-

“Sharir jal se vastra sabun se per man ESHWAR NAAM se suvachh/ shudh hote hain. So ishnan pani kar ke NAAM jap ke PRABHU pao.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo andhon,lulon,langron ya kangalon ko khilata hai jaise unke paas dene ko kuchh nahin hota isliye us ka badla ESHWAR deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“.”

Sache Satram ne kaha-

“.”